Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

safar pe nikle to tanhaiyan bhi sath chalin

Husna Sarwar

safar pe nikle to tanhaiyan bhi sath chalin

Husna Sarwar

MORE BYHusna Sarwar

    safar pe nikle to tanhā.iyāñ bhī saath chalīñ

    tumhārī yaad parchhā.iyāñ bhī saath chalīñ

    qadam qadam pe baḌhā fāsloñ sannāTā

    qadam qadam pe sabhī dūriyāñ bhī saath chalīñ

    gulāb-chehre bahut pīchhe chhoḌ aa.e magar

    tumhāre gaañv rañgīniyāñ bhī saath chalīñ

    vo sher sher fazā vo ġhazal ġhazal shāmeñ

    hasīn lamhoñ sarmastiyāñ bhī saath chalīñ

    rafāqatoñ se mahakte tilismī shām-o-sahar

    mohabbatoñ ye purvā.iyāñ bhī saath chalīñ

    vo ḳhushbū ḳhvāb dhuāñ yādoñ ke hasīñ mahtāb

    tumhārī bazm ra.anā.iyāñ bhī saath chalīñ

    chhalaktā jaa.e hai 'husnā' ḳhumār āñkhoñ se

    nazar nazar ye be-ḳhvābiyāñ bhī saath chalīñ

    safar pe nikle to tanhaiyan bhi sath chalin

    tumhaari yaad ki parchhaiyan bhi sath chalin

    qadam qadam pe baDha faslon ka sannaTa

    qadam qadam pe sabhi duriyan bhi sath chalin

    gulab-chehre bahut pichhe chhoD aae magar

    tumhaare ganw ki ranginiyan bhi sath chalin

    wo sher sher faza wo ghazal ghazal shamen

    hasin lamhon ki sarmastiyan bhi sath chalin

    rafaqaton se mahakte tilismi sham-o-sahar

    mohabbaton ki ye purwaiyan bhi sath chalin

    wo KHushbu KHwab dhuan yaadon ke hasin mahtab

    tumhaari bazm ki ranaiyan bhi sath chalin

    chhalakta jae hai 'husna' KHumar aankhon se

    nazar nazar ki ye be-KHwabiyan bhi sath chalin

    Source:

    Shabnam Shabnam (Pg. 92)

    • Author: Husna Sarwar
      • Publisher: Taj Printers, Bangalore
      • Year of Publication: 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now