Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

safar pe yun musir hun main ki hauslon mein jaan hai

Nizamuddin Nizam

safar pe yun musir hun main ki hauslon mein jaan hai

Nizamuddin Nizam

MORE BYNizamuddin Nizam

    safar pe yuuñ musir huuñ maiñ ki hausloñ meñ jaan hai

    jo luT chukā yaqīn thā jo bach gayā gumān hai

    zamīn kashish jaal toḌ kar nikal ga.iiñ

    magar ye tai hai chiyūñTiyoñ āḳhirī uḌaan hai

    lahū ke naam likh diye haiñ tiir abr-o-bād ke

    zamīñ hadaf banī huī hai āsmāñ kamān hai

    vahī jo aadhī raat ko charāġh ban ke jal uThā

    kisī yaad nahīñ vo zaḳhm nishān hai

    mufāhamat ke dev asiir ho gayā 'nizām'

    merī anā vo parind jis meñ merī jaan hai

    safar pe yun musir hun main ki hauslon mein jaan hai

    jo luT chuka yaqin tha jo bach gaya guman hai

    zamin ki kashish ka jal toD kar nikal gain

    magar ye tai hai chiyunTiyon ki aaKHiri uDan hai

    lahu ke nam likh diye hain tir abr-o-baad ke

    zamin hadaf bani hui hai aasman kaman hai

    wahi jo aadhi raat ko charagh ban ke jal uTha

    kisi ki yaad ka nahin wo zaKHm ka nishan hai

    mufahamat ke dew ka asir ho gaya 'nizam'

    meri ana ka wo parind jis mein meri jaan hai

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 791)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now