Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

safar tamam hua gard-e-justuju bhi gai

Khalid Jamal

safar tamam hua gard-e-justuju bhi gai

Khalid Jamal

MORE BYKhalid Jamal

    safar tamām huā gard-e-justujū bhī ga.ī

    tirī talāsh meñ niklī to aarzū bhī ga.ī

    ik intizār sā thā barf ke pighalne kā

    phir us ke baa'd to ummīd-e-ābjū bhī ga.ī

    talab kī raah meñ aise bhī moḌ aa.e haiñ

    ki harf-o-saut gayā shoḳhī-e-gulū bhī ga.ī

    ye barg-o-bār kahāñ jāzib-e-nazar Thahre

    tumhāre baa'd to phūloñ se rañg-o-bū bhī ga.ī

    kuchh aise ḳhaak uḌaa.ī hai dasht-e-hū meñ 'jamāl'

    ki jazb-e-shauq bhī tafrīq-e-mā-o-tū bhī ga.ī

    safar tamam hua gard-e-justuju bhi gai

    teri talash mein nikli to aarzu bhi gai

    ek intizar sa tha barf ke pighalne ka

    phir us ke ba'd to ummid-e-abju bhi gai

    talab ki rah mein aise bhi moD aae hain

    ki harf-o-saut gaya shoKHi-e-gulu bhi gai

    ye barg-o-bar kahan jazib-e-nazar Thahre

    tumhaare ba'd to phulon se rang-o-bu bhi gai

    kuchh aise KHak uDai hai dasht-e-hu mein 'jamal'

    ki jazb-e-shauq bhi tafriq-e-ma-o-tu bhi gai

    Source :
    • Book : Shareek-e-Harf (Pg. 34)
    • Author : Khalid Jamal
    • Publication : Dabistan-e-adab (2017)
    • Edition : 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now