safine ko bachana bhi zaruri
safīne ko bachānā bhī zarūrī
samundar se nibhānā bhī zarūrī
ye begāne ye nā-mānūs chehre
inheñ apnā banānā bhī zarūrī
chhupānā bhī hai sab se haal apnā
magar sab ko batānā bhī zarūrī
musalsal hifz karnā hai sabhī kuchh
magar sab kuchh bhulānā bhī zarūrī
zarūrat hai kabhī āvārgī kī
kabhī koī Thikāna bhī zarūrī
ulajhnā bhī hai ḳhāroñ se musalsal
magar dāman chhuḌānā bhī zarūrī
kabhī kuchh din bayābāñ se rifāqat
kabhī kuchh din zamāna bhī zarūrī
safine ko bachana bhi zaruri
samundar se nibhana bhi zaruri
ye begane ye na-manus chehre
inhen apna banana bhi zaruri
chhupana bhi hai sab se haal apna
magar sab ko batana bhi zaruri
musalsal hifz karna hai sabhi kuchh
magar sab kuchh bhulana bhi zaruri
zarurat hai kabhi aawargi ki
kabhi koi Thikana bhi zaruri
ulajhna bhi hai KHaron se musalsal
magar daman chhuDana bhi zaruri
kabhi kuchh din bayaban se rifaqat
kabhi kuchh din zamana bhi zaruri
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 92)
- Author :Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.