Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sahar ke baad bhi jo log jagne se rahe

Hina Abbas

sahar ke baad bhi jo log jagne se rahe

Hina Abbas

MORE BYHina Abbas

    sahar ke ba.ad bhī jo log jāgne se rahe

    kisī bhī ḳhvāb ta.abīr dekhne se rahe

    haTā rahe haiñ sabhī raah se mirī patthar

    vo mere paañv zanjīr kāTne se rahe

    ho do qadam duurī pe tum khaḌe lekin

    qadam baḌhā ke mirā haath thāmne se rahe

    maiñ aa.ina huuñ tumhārā isī sabab se tum

    mire vajūd ḳhūbī ko DhūñDne se rahe

    hai muḳhtasar ye kahānī ki vo mire hue

    rahe palaTne se vo ham bhī rokne se rahe

    zamāna dauḌ rahā hai ye kaisī dauḌ 'hinā'

    jo ghar se nikle vo phir ghar ko lauTne se rahe

    sahar ke baad bhi jo log jagne se rahe

    kisi bhi KHwab ki tabir dekhne se rahe

    haTa rahe hain sabhi rah se meri patthar

    wo mere panw ki zanjir kaTne se rahe

    ho do qadam ki hi duri pe tum khaDe lekin

    qadam baDha ke mera hath thamne se rahe

    main aaina hun tumhaara isi sabab se tum

    mere wajud ki KHubi ko DhunDne se rahe

    hai muKHtasar ye kahani ki wo mere na hue

    rahe palaTne se wo hum bhi rokne se rahe

    zamana dauD raha hai ye kaisi dauD 'hina'

    jo ghar se nikle wo phir ghar ko lauTne se rahe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now