Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sahar ko de ke nai nikhat-e-hayat gai

Shamim Karhani

sahar ko de ke nai nikhat-e-hayat gai

Shamim Karhani

MORE BYShamim Karhani

    sahar ko de ke na.ī nik.hat-e-hayāt ga.ī

    na jaane kis galī se nikal ke raat ga.ī

    junūñ ne daulat-e-dil ko nisār kar Daalā

    pukārtī rahī aql kā.enāt ga.ī

    shab-e-firāq itnā bhī ġham na kar ai dil

    sū-e-sahar ga.ī aaj tak jo raat ga.ī

    paḌe haiñ raah meñ kuchh phuul ḳhāk-ālūda

    koī janāza uThā koī barāt ga.ī

    'shamīm' ahd-e-guzishta guftugū na karo

    vo din ga.e vo mohabbat ga.ī vo baat ga.ī

    sahar ko de ke nai nikhat-e-hayat gai

    na jaane kis ki gali se nikal ke raat gai

    junun ne daulat-e-dil ko nisar kar Dala

    pukarti hi rahi aql kaenat gai

    shab-e-firaq ka itna bhi gham na kar ai dil

    su-e-sahar hi gai aaj tak jo raat gai

    paDe hain rah mein kuchh phul KHak-aluda

    koi janaza uTha ya koi baraat gai

    'shamim' ahd-e-guzishta ki guftugu na karo

    wo din gae wo mohabbat gai wo baat gai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    sahar ko de ke nai nikhat-e-hayat gai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now