Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sahma sahma har ek chehra manzar manzar KHun mein tar

Jatinder Parwaaz

sahma sahma har ek chehra manzar manzar KHun mein tar

Jatinder Parwaaz

MORE BYJatinder Parwaaz

    sahmā sahmā har ik chehra manzar manzar ḳhuun meñ tar

    shahr se jañgal achchhā hai chal chiḌiyā apne ghar

    tum to ḳhat meñ likh detī ho ghar meñ ghabrātā hai

    tum kyā jaano kyā hotā hai haal hamārā sarhad par

    be-mausam chhā jaate haiñ bādal terī yādoñ ke

    be-mausam ho jaatī hai bārish dil dhartī par

    aa bhī ab aane vaale kuchh un ko bhī chain paḌe

    kab se terā rasta dekheñ chhat āñgan dīvār-o-dar

    jis bāteñ ammāñ abbū aksar karte rahte haiñ

    sarhad paar na jaane kaisā vo hogā purkhoñ ghar

    sahma sahma har ek chehra manzar manzar KHun mein tar

    shahr se jangal hi achchha hai chal chiDiya tu apne ghar

    tum to KHat mein likh deti ho ghar mein ji ghabraata hai

    tum kya jaano kya hota hai haal hamara sarhad par

    be-mausam hi chha jate hain baadal teri yaadon ke

    be-mausam hi ho jati hai barish dil ki dharti par

    aa bhi ja ab aane wale kuchh un ko bhi chain paDe

    kab se tera rasta dekhen chhat aangan diwar-o-dar

    jis ki baaten amman abbu aksar karte rahte hain

    sarhad par na jaane kaisa wo hoga purkhon ka ghar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now