Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sahme se the parind basera udas tha

Ishrat Qadri

sahme se the parind basera udas tha

Ishrat Qadri

MORE BYIshrat Qadri

    sahme se the parind baserā udaas thā

    jañgal tarah shahr meñ ḳhauf-o-hirās thā

    donoñ ajnabī the magar TuuT kar mile

    maiñ dard-āshnā vo sitāra-shanās thā

    kis tamkanat se anjuman ārāsta kiye

    tanhā.iyoñ meñ koī mire ās-pās thā

    āñkhoñ se merī sub.h tak aañsū na tham sake

    kal raat vo milā to bahut udaas thā

    apnī to intishār meñ guzrī tamām umr

    vo koī aur haiñ jinheñ māhaul raas thā

    us ne kuchh is adā se pazīrā.ī mirī

    tahzīb-e-husn par maiñ sarāpā sipās thā

    samt-e-safar badal degā vo agle moḌ par

    'ishrat' mujhe gumāñ thā na koī qayās thā

    sahme se the parind basera udas tha

    jangal ki tarah shahr mein KHauf-o-hiras tha

    donon hi ajnabi the magar TuT kar mile

    main dard-ashna wo sitara-shanas tha

    kis tamkanat se anjuman aarasta kiye

    tanhaiyon mein koi mere aas-pas tha

    aankhon se meri subh tak aansu na tham sake

    kal raat wo mila to bahut hi udas tha

    apni to intishaar mein guzri tamam umr

    wo koi aur hain jinhen mahaul ras tha

    us ne kuchh is ada se pazirai ki meri

    tahzib-e-husn par main sarapa sipas tha

    samt-e-safar badal dega wo agle moD par

    'ishrat' mujhe guman tha na koi qayas tha

    Source:

    Aasman Saiyban (Poetry) (Pg. 61)

    • Author: Ishrat Qadri
      • Edition: 2010
      • Publisher: Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now