Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sahne ko hijr jab bhi tamanna mazid ki

Tariq Jawed

sahne ko hijr jab bhi tamanna mazid ki

Tariq Jawed

MORE BYTariq Jawed

    sahne ko hijr jab bhī tamannā mazīd

    maiñ ne vajūd-e-sher se lazzat kashīd

    dekhā thā raat ḳhvāb meñ sahrā-mizāj shaḳhs

    nagrī bhī lag rahī thī vo ḳhvāja farīd

    ai muftiyān-e-shahr tumheñ ilm nahīñ

    logoñ ne mere chāñd ko dekhā to iid

    ye sunnat-e-husain hai so is liye bhī maiñ

    bai.at qubūl na kisī bhī yazīd

    ḳhushiyāñ to dastiyāb thiiñ bāzār meñ magar

    dānista maiñ ne hijr daulat ḳharīd

    sahne ko hijr jab bhi tamanna mazid ki

    main ne wajud-e-sher se lazzat kashid ki

    dekha tha raat KHwab mein sahra-mizaj shaKHs

    nagri bhi lag rahi thi wo KHwaja farid ki

    ai muftiyan-e-shahr tumhein ilm hi nahin

    logon ne mere chand ko dekha to id ki

    ye sunnat-e-husain hai so is liye bhi main

    baiat qubul ki na kisi bhi yazid ki

    KHushiyan to dastiyab thin bazar mein magar

    danista main ne hijr ki daulat KHarid ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now