Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sahra mein hun junun ke bhi aasar hi nahin

Suhail Amjad

sahra mein hun junun ke bhi aasar hi nahin

Suhail Amjad

MORE BYSuhail Amjad

    sahrā meñ huuñ junūñ ke bhī āsār nahīñ

    sar phoḌne ke vāste dīvār nahīñ

    jis davā-e-dil zarūrat ke vāste

    ham chārāgar hue to vo bīmār nahīñ

    apne vatan ḳhaak liye phir rahā huuñ maiñ

    us vafāoñ se mujhe inkār nahīñ

    taqdīr ke haiñ khel javāñ ishq jab huā

    tab khelne ke vāste mañjhdār nahīñ

    ham rah-navard-e-shauq ko sahrā Thiik hai

    kyā lutf mai-kade meñ agar yaar nahīñ

    sad iftiḳhār ġhairoñ ko dīdār-e-ām hai

    sad-haif ham ko dāvat-e-dīdār nahīñ

    be-bas kar diyā hai irādoñ ne ai 'suhail'

    qismat ne kar diyā mujhe lā-chār nahīñ

    sahra mein hun junun ke bhi aasar hi nahin

    sar phoDne ke waste diwar hi nahin

    jis ki dawa-e-dil ki zarurat ke waste

    hum chaaragar hue to wo bimar hi nahin

    apne watan ki KHak liye phir raha hun main

    us ki wafaon se mujhe inkar hi nahin

    taqdir ke hain khel jawan ishq jab hua

    tab khelne ke waste manjhdar hi nahin

    hum rah-naward-e-shauq ko sahra hi Thik hai

    kya lutf mai-kade mein agar yar hi nahin

    sad iftiKHar ghairon ko didar-e-am hai

    sad-haif hum ko dawat-e-didar hi nahin

    be-bas hi kar diya hai iradon ne ai 'suhail'

    qismat ne kar diya mujhe la-chaar hi nahin

    Source:

    اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 332)

      • Publisher: کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now