aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sahra mein jo diwane se baad-e-saba uljhi

Jumbish Khairabadi

sahra mein jo diwane se baad-e-saba uljhi

Jumbish Khairabadi

MORE BYJumbish Khairabadi

    sahrā meñ jo dīvāne se bād-e-sabā uljhī

    har mauj-e-gul-e-tar se vo zulf-e-dotā uljhī

    ilzām nahīñ tujh par ai bādiya-paimā.ī

    dīvāne qismat se sahrā havā uljhī

    pāband-e-nazākat thī nairañgī-e-gul-chīnī

    surḳhī-e-gul-e-tar se hāthoñ hinā uljhī

    husn-e-kashish meñ jaañ aur aap ne Daalī hai

    shoḳhī-e-fitrat hai dar-parda hayā uljhī

    ḳhāmosh tajallī fitrat maiñ samajhtā huuñ

    kyuuñ ḳhirman-e-dil se ai barq-e-adā uljhī

    dil meñ tirī yādoñ ne vo bijliyāñ chamkā.īñ

    āñkhoñ se marī aa kar sāvan ghaTā uljhī

    zāmin mirī uljhan ke uljhe hue gesū haiñ

    be-vaj.h mirī 'jumbish' kab tab-e-rasā uljhī

    sahra mein jo diwane se baad-e-saba uljhi

    har mauj-e-gul-e-tar se wo zulf-e-dota uljhi

    ilzam nahin tujh par ai baadiya-paimai

    diwane ki qismat se sahra ki hawa uljhi

    paband-e-nazakat thi nairangi-e-gul-chini

    surKHi-e-gul-e-tar se hathon ki hina uljhi

    ya husn-e-kashish mein jaan aur aap ne Dali hai

    ya shoKHi-e-fitrat hai dar-parda haya uljhi

    KHamosh tajalli ki fitrat main samajhta hun

    kyun KHirman-e-dil se hi ai barq-e-ada uljhi

    dil mein teri yaadon ne wo bijliyan chamkain

    aankhon se mari aa kar sawan ki ghaTa uljhi

    zamin meri uljhan ke uljhe hue gesu hain

    be-wajh meri 'jumbish' kab tab-e-rasa uljhi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now