Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sahraon mein ja pahunchi hai shahron se nikal kar

Saleem Betab

sahraon mein ja pahunchi hai shahron se nikal kar

Saleem Betab

MORE BYSaleem Betab

    sahrāoñ meñ pahuñchī hai shahroñ se nikal kar

    alfāz ḳhushbū mire hoñToñ se nikal kar

    siine ko mire kar gayā ik aan meñ raushan

    ik nuur kauñdā tirī āñkhoñ se nikal kar

    maiñ qatra-e-shabnam thā magar aaj huuñ sūraj

    aa baiThā huuñ maiñ sadiyoñ meñ lamhoñ se nikal kar

    ho jā.eñge bastī ke dar-o-bām munavvar

    sūraj abhī chamkegā darīchoñ se nikal kar

    kyā jāniye ab kaun jānib ko gayā hai

    ik zard chehra tirī galiyoñ se nikal kar

    har samt thā ik talḳh haqā.eq samundar

    dekhā jo tasavvur ke jazīroñ se nikal kar

    vo pyaas hai miTTī pe zabāñ pher rahe haiñ

    ham aa.e haiñ ehsās ke sho.aloñ se nikal kar

    har aan sadā dete haiñ ma.asūm ujāle

    'betāb' chale aao dhuñdlakoñ se nikal kar

    sahraon mein ja pahunchi hai shahron se nikal kar

    alfaz ki KHushbu mere honTon se nikal kar

    sine ko mere kar gaya ek aan mein raushan

    ek nur ka kaunda teri aankhon se nikal kar

    main qatra-e-shabnam tha magar aaj hun suraj

    aa baiTha hun main sadiyon mein lamhon se nikal kar

    ho jaenge basti ke dar-o-baam munawwar

    suraj abhi chamkega darichon se nikal kar

    kya jaaniye ab kaun si jaanib ko gaya hai

    ek zard sa chehra teri galiyon se nikal kar

    har samt tha ek talKH haqaeq ka samundar

    dekha jo tasawwur ke jaziron se nikal kar

    wo pyas hai miTTi pe zaban pher rahe hain

    hum aae hain ehsas ke shoalon se nikal kar

    har aan sada dete hain masum ujale

    'betab' chale aao dhundlakon se nikal kar

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 756)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now