sainkaDon phul lagae magar aisa na hua
saiñkaḌoñ phuul lagā.e magar aisā na huā
merā āñgan tire ruḳhsār se gahrā na huā
us ne jo zaḳhm lagā.e the vo shādāb rahe
us ne jo rang lagāyā thā vo halkā na huā
dastaḳhat aur ke haiñ lams kisī aur kā hai
yā'nī ye naam bhī is peḌ pe pahlā na huā
kaash maiñ apne muqaddar meñ use likh paatā
kaash vaisā kabhī hotā abhī jaisā na huā
dil ko ab kār-e-mohabbat pe hañsī aatī hai
go ye dāman tire bohtān se mailā na huā
ashk le jā.ūñgā jalte hue ḳhemoñ kī taraf
gar mire haath koī dūsrā dariyā na huā
qābil-e-dār thā maiñ qābil-e-dastār nahīñ
mujh ko afsos hai ajdād kā achchhā na huā
sainkaDon phul lagae magar aisa na hua
mera aangan tere ruKHsar se gahra na hua
us ne jo zaKHm lagae the wo shadab rahe
us ne jo rang lagaya tha wo halka na hua
dastaKHat aur ke hain lams kisi aur ka hai
ya'ni ye nam bhi is peD pe pahla na hua
kash main apne muqaddar mein use likh pata
kash waisa kabhi hota abhi jaisa na hua
dil ko ab kar-e-mohabbat pe hansi aati hai
go ye daman tere bohtan se maila na hua
ashk le jaunga jalte hue KHemon ki taraf
gar mere hath koi dusra dariya na hua
qabil-e-dar tha main qabil-e-dastar nahin
mujh ko afsos hai ajdad ka achchha na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.