Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sair-e-bahaar-e-husn hi ankhiyon ka kaam jaan

Abroo Shah Mubarak

sair-e-bahaar-e-husn hi ankhiyon ka kaam jaan

Abroo Shah Mubarak

MORE BYAbroo Shah Mubarak

    sair-e-bahār-e-husn añkhiyoñ kaam jaan

    dil kuuñ sharāb-e-shauq sāġhar mudām jaan

    tarz-e-nigāh-e-ijz yahī arz-e-hāl hai

    ai ramz-dāñ haman ke añkhiyoñ kalām jaan

    rusvā kareñge tujh kuuñ jagat meñ nihāl-e-ashk

    añjhuvāñ kuuñ dasht aur saf-e-mizhgāñ ko shaam jaan

    terī galī meñ diida o dil farsh-e-rāh haiñ

    āhista Tuk qadam kuuñ rakh ai ḳhush-ḳhirām jaan

    vahdat meñ be-ḳhudī ibādat huā hai naam

    mai-ḳhāne kuuñ adab setī bait-ul-harām jaan

    teġh-e-ajal suuñ kis salāmat rahā hai jiiv

    shoḳhī siiñ jab nigāh kareñ qatl-e-ām jaan

    us kuuñ sharaf hai jis kareñ bandagī qubūl

    jo 'ābrū' talab haiñ so apnā ġhulām jaan

    sair-e-bahaar-e-husn hi ankhiyon ka kaam jaan

    dil kun sharab-e-shauq ka saghar mudam jaan

    tarz-e-nigah-e-ijz yahi arz-e-haal hai

    ai ramz-dan haman ke ankhiyon ka kalam jaan

    ruswa karenge tujh kun jagat mein nihaal-e-ashk

    anjhuwan kun dasht aur saf-e-mizhgan ko sham jaan

    teri gali mein dida o dil farsh-e-rah hain

    aahista Tuk qadam kun rakh ai KHush-KHiram jaan

    wahdat mein be-KHudi ka ibaadat hua hai nam

    mai-KHane kun adab seti bait-ul-haram jaan

    tegh-e-ajal sun kis ka salamat raha hai jiw

    shoKHi sin jab nigah karen qatl-e-am jaan

    us kun sharaf hai jis ki karen bandagi qubul

    jo 'abru' talab hain so apna ghulam jaan

    Source:

    Deewan-e-Aabro (Pg. 187)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now