Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sair mein teri hai bulbul bostan be-kar hai

Baqaullah 'Baqa'

sair mein teri hai bulbul bostan be-kar hai

Baqaullah 'Baqa'

MORE BYBaqaullah 'Baqa'

    sair meñ terī hai bulbul bostāñ be-kār hai

    bostāñ ġhairat se ḳhud ujḌā ḳhizāñ be-kār hai

    chhoḌ kar aañsū ko laḳht-e-dil gayā ham-rāh-e-āh

    naav ḳhushkī meñ chalī āb-e-ravāñ be-kār hai

    gah zamīñ se baam par huuñ baam se gah bar zamīñ

    is tapish se apne ghar nardbāñ be-kār hai

    aa.ī ab fasl-e-gul aur mujh andalīb-e-zār

    hai nasheman shāḳh-e-gul par āshiyāñ be-kār hai

    yaar se aur ham se mahfil meñ bachā kar chashm-e-ġhair

    hai suḳhan iimā meñ bāham aur zabāñ be-kār hai

    mere Dar se ne biThlāyā thā dar par pāsbāñ

    so maiñ hasrat se muā ab pāsbāñ be-kār hai

    ḳhalq ko maare hai chashm us muattal hai qazā

    fitna hai us nigah meñ āsmāñ be-kār hai

    māñgtā huuñ bosa maiñ jis dam to us dam yaar ke

    kaar meñ lab par nahīñ hai dil meñ haañ be-kār hai

    kār-farmā dekh kar ġhairoñ pe maiñ us se kahā

    kaar hai mujh se bhī kuchh bolā ki haañ be-kār hai

    ai 'baqā'-e-kārvāñ is reḳhte har radīf

    garche hai be-kār par batlā kahāñ be-kār hai

    sair mein teri hai bulbul bostan be-kar hai

    bostan ghairat se KHud ujDa KHizan be-kar hai

    chhoD kar aansu ko laKHt-e-dil gaya ham-rah-e-ah

    naw KHushki mein chali aab-e-rawan be-kar hai

    gah zamin se baam par hun baam se gah bar zamin

    is tapish se apne ghar ki nardban be-kar hai

    aai ab fasl-e-gul aur mujh andalib-e-zar ka

    hai nasheman shaKH-e-gul par aashiyan be-kar hai

    yar se aur hum se mahfil mein bacha kar chashm-e-ghair

    hai suKHan ima mein baham aur zaban be-kar hai

    mere Dar se tu ne biThlaya tha dar par pasban

    so main hasrat se mua ab pasban be-kar hai

    KHalq ko mare hai chashm us ki muattal hai qaza

    fitna hai us ki nigah mein aasman be-kar hai

    mangta hun bosa main jis dam to us dam yar ke

    kar mein lab par nahin hai dil mein han be-kar hai

    kar-farma dekh kar ghairon pe main us se kaha

    kar hai mujh se bhi kuchh bola ki han be-kar hai

    ai 'baqa'-e-karwan is reKHte ki har radif

    garche hai be-kar par batla kahan be-kar hai

    Source:

    Deewan-e-Baqa (Pg. ebook-55 page-33)

    • Author: Khwaja Ahmad Faruqi
      • Publisher: Shoba-e-Urdu, Delhi University, Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now