Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sajde mein to zarur ye sar der tak raha

Abdus Sattar Danish

sajde mein to zarur ye sar der tak raha

Abdus Sattar Danish

MORE BYAbdus Sattar Danish

    sajde meñ to zarūr ye sar der tak rahā

    rizq-e-harām bhī asar der tak rahā

    har gosha-e-badan pe sahar der tak rahā

    āñkhoñ se guftugū asar der tak rahā

    sachchā.ī par sazā thī yahāñ jhuuT par vahāñ

    aalam meñ kashmakash ke bashar der tak rahā

    tark-e-ta.alluqāt se suljhā na mas.ala

    bechain vo udhar ye idhar der tak rahā

    afsos mustafīz musāfir na ho sake

    hālāñki vo sharīk-e-safar der tak rahā

    tārīkiyāñ hasad mahrūm rah ga.iiñ

    raushan ḳhulūs to qamar der tak rahā

    paiġhām-e-haq suneñ ki suneñ nafs sadā

    'dānish' bhī ho ke zer-o-zabar der tak... rahā

    sajde mein to zarur ye sar der tak raha

    rizq-e-haram ka bhi asar der tak raha

    har gosha-e-badan pe sahar der tak raha

    aankhon se guftugu ka asar der tak raha

    sachchai par saza thi yahan jhuT par wahan

    aalam mein kashmakash ke bashar der tak raha

    tark-e-talluqat se suljha na masala

    bechain wo udhar ye idhar der tak raha

    afsos mustafiz musafir na ho sake

    haalanki wo sharik-e-safar der tak raha

    tarikiyan hasad ki hi mahrum rah gain

    raushan KHulus ka to qamar der tak raha

    paigham-e-haq sunen ki sunen nafs ki sada

    'danish' bhi ho ke zer-o-zabar der tak raha

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 292)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now