Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sajdon mein aajizi ka maza humse puchhiye

Mustafa Jameel

sajdon mein aajizi ka maza humse puchhiye

Mustafa Jameel

MORE BYMustafa Jameel

    sajdoñ meñ ājizī maza ham se pūchhiye

    be-laus bandagī maza ham se pūchhiye

    logo baḌe ḳhulūs se luuTe ga.e haiñ ham

    rahbar rahbarī maza ham se pūchhiye

    tark-e-ta.alluqāt pe aañsū nikal paḌe

    barsoñ dostī maza ham se pūchhiye

    ho kar judā vo mujh se mire saath saath hai

    is rabt-e-bāhamī maza ham se pūchhiye

    ham ne use qarīb se dekhā hai bārhā

    kam-baḳht muflisī maza ham se pūchhiye

    insāniyat zamāne meñ maflūj ho ga.ī

    tahzīb ġhamī maza ham se pūchhiye

    jab zikr-e-mustafā meñ the masrūf ham 'jamīl'

    us vaqt ḳhushī maza ham se pūchhiye

    sajdon mein aajizi ka maza hum se puchhiye

    be-laus bandagi ka maza hum se puchhiye

    logo baDe KHulus se luTe gae hain hum

    rahbar ki rahbari ka maza hum se puchhiye

    tark-e-talluqat pe aansu nikal paDe

    barson ki dosti ka maza hum se puchhiye

    ho kar juda wo mujh se mere sath sath hai

    is rabt-e-bahami ka maza hum se puchhiye

    hum ne use qarib se dekha hai barha

    kam-baKHt muflisi ka maza hum se puchhiye

    insaniyat zamane mein mafluj ho gai

    tahzib ki ghami ka maza hum se puchhiye

    jab zikr-e-mustafa mein the masruf hum 'jamil'

    us waqt ki KHushi ka maza hum se puchhiye

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 180)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now