Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saje hain har taraf bazar aisa kyun nahin hota

Shadab Ulfat

saje hain har taraf bazar aisa kyun nahin hota

Shadab Ulfat

MORE BYShadab Ulfat

    saje haiñ har taraf bāzār aisā kyuuñ nahīñ hotā

    bike ab to ġham-e-lāchār aisā kyuuñ nahīñ hotā

    tumhāre aur mere darmiyāñ parda hai ġhaflat

    gire kambaḳht ye dīvār aisā kyuuñ nahīñ hotā

    abhī yuuñ ḳhayāl aayā agar vo zulm kartā hai

    to pahuñche kaifar-e-kirdār aisā kyuuñ nahīñ hotā

    farishta chalā aa.e agar insāñ nahīñ aatā

    mirā dil hai bayābāñ ġhaar aisā kyuuñ nahīñ hotā

    kisī yaad ThanDī havā.eñ aaj bhī haiñ par

    kareñ dil ko gul-o-gulzār aisā kyuuñ nahīñ hotā

    ġhazal sher un par bhī asar-andāz hotā hai

    miyāñ 'ulfat' magar har baar aisā kyuuñ nahīñ hotā

    saje hain har taraf bazar aisa kyun nahin hota

    bike ab to gham-e-lachaar aisa kyun nahin hota

    tumhaare aur mere darmiyan parda hai ghaflat ka

    gire kambaKHt ye diwar aisa kyun nahin hota

    abhi yun hi KHayal aaya agar wo zulm karta hai

    to pahunche kaifar-e-kirdar aisa kyun nahin hota

    farishta hi chala aae agar insan nahin aata

    mera dil hai bayaban ghaar aisa kyun nahin hota

    kisi ki yaad ki ThanDi hawaen aaj bhi hain par

    karen dil ko gul-o-gulzar aisa kyun nahin hota

    ghazal ka sher un par bhi asar-andaz hota hai

    miyan 'ulfat' magar har bar aisa kyun nahin hota

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now