Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saKHt dushwar hai pahlu mein bachana dil ka

Zaheer Dehlvi

saKHt dushwar hai pahlu mein bachana dil ka

Zaheer Dehlvi

MORE BYZaheer Dehlvi

    saḳht dushvār hai pahlū meñ bachānā dil

    kuchh nigāhoñ se barastā hai churānā dil

    haa.e dil aur dil-e-zār ke ham se bartāo

    aur phir tum se dil-e-zār pe aanā dil

    sham.a se zīnat-e-pahlū hai na parvāne se

    tum ko manzūr hai har tarah jalānā dil

    nāseho zulf ke uljhāv bure hote haiñ

    kuchh hañsī-khel samajhte ho chhuḌānā dil

    qahr Dhaa.e tire iz.hār-e-tamannā ne 'zahīr'

    haal kahtā hai kisī se koī daanā dil

    saKHt dushwar hai pahlu mein bachana dil ka

    kuchh nigahon se barasta hai churana dil ka

    hae dil aur dil-e-zar ke hum se bartao

    aur phir tum se dil-e-zar pe aana dil ka

    shama se zinat-e-pahlu hai na parwane se

    tum ko manzur hai har tarah jalana dil ka

    naseho zulf ke uljhaw bure hote hain

    kuchh hansi-khel samajhte ho chhuDana dil ka

    qahr Dhae tere izhaar-e-tamanna ne 'zahir'

    haal kahta hai kisi se koi dana dil ka

    Source:

    Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 194)

    • Author: Hasrat Mohani
      • Edition: 1983
      • Publisher: uttar pradesh urdu academy
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now