Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

salamat ishq afsane bahut hain

Naim Hamid Ali

salamat ishq afsane bahut hain

Naim Hamid Ali

MORE BYNaim Hamid Ali

    salāmat ishq afsāne bahut haiñ

    junūñ ḳhair vīrāne bahut haiñ

    ḳhirad-mandoñ ne chhoḌā saath to kyā

    mirī jaañ tere dīvāne bahut haiñ

    nahīñ hai gar koī apnā to kyā ġham

    ḳhudā shukr begāne bahut haiñ

    maiñ sab martaba rakhtā huuñ malhūz

    ki mere zehn meñ ḳhāne bahut haiñ

    'na.īm' āshufta-dil tum nahīñ ho

    satāyā jin ko duniyā ne bahut haiñ

    salamat ishq afsane bahut hain

    junun ki KHair virane bahut hain

    KHirad-mandon ne chhoDa sath to kya

    meri jaan tere diwane bahut hain

    nahin hai gar koi apna to kya gham

    KHuda ka shukr begane bahut hain

    main sab ka martaba rakhta hun malhuz

    ki mere zehn mein KHane bahut hain

    'naim' aashufta-dil tum hi nahin ho

    sataya jin ko duniya ne bahut hain

    Source:

    Paikar-e-Naghma (Pg. 139)

    • Author: Naim Hamid Ali
      • Publisher: Dar-ul-Ilm, Jeddah
      • Year of Publication: 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now