Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saliqa ishq mein mera baDe kamal ka tha

Shahida Hasan

saliqa ishq mein mera baDe kamal ka tha

Shahida Hasan

MORE BYShahida Hasan

    salīqa ishq meñ merā baḌe kamāl thā

    ki iḳhtiyār bhī dil par 'ajab misāl thā

    maiñ apne naqsh banātī thī jis meñ bachpan se

    vo aa.ina to kisī aur ḳhat-o-ḳhāl thā

    rafū maiñ kartī rahī pairahan ko aur idhar

    gumāñ use mire zaḳhmoñ ke indimāl thā

    ye aur baat ki ab chashm-posh ho jaa.e

    kabhī to 'ilm use bhī hamāre haal thā

    mohabbatoñ meñ maiñ qaa.il thī lab na khulne

    javāb varna mire paas har savāl thā

    daraḳht jaḌ se ukhaḌne ke mausamoñ meñ bhī

    havā pyaar shajar se 'ajab kamāl thā

    kitāb kis masāfat likh rahī hai havā

    ye qarz us taraf kis ke maah o saal thā

    saliqa ishq mein mera baDe kamal ka tha

    ki iKHtiyar bhi dil par 'ajab misal ka tha

    main apne naqsh banati thi jis mein bachpan se

    wo aaina to kisi aur KHat-o-KHal ka tha

    rafu main karti rahi pairahan ko aur idhar

    guman use mere zaKHmon ke indimal ka tha

    ye aur baat ki ab chashm-posh ho jae

    kabhi to 'ilm use bhi hamare haal ka tha

    mohabbaton mein main qail thi lab na khulne ki

    jawab warna mere pas har sawal ka tha

    daraKHt jaD se ukhaDne ke mausamon mein bhi

    hawa ka pyar shajar se 'ajab kamal ka tha

    kitab kis ki masafat ki likh rahi hai hawa

    ye qarz us ki taraf kis ke mah o sal ka tha

    RECITATIONS

    Shahida Hasan

    Shahida Hasan,

    Shahida Hasan

    saliqa ishq mein mera baDe kamal ka tha Shahida Hasan

    Source:

    Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 124)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now