Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saltanat jati rahi sultan aadha rah gaya

Mansoor Umar

saltanat jati rahi sultan aadha rah gaya

Mansoor Umar

MORE BYMansoor Umar

    saltanat jaatī rahī sultān aadhā rah gayā

    DevḌhī girvī huī dālān aadhā rah gayā

    ham hue āzād hindustān aadhā rah gayā

    phir ta.ajjub kyā jo pākistān aadhā rah gayā

    aql se fāriġh huā insān aadhā rah gayā

    iid do-bālā huī ramzān aadhā rah gayā

    jītne ke baad vo jūñhī minister ho ga.e

    goyā un par qaum ehsān aadhā rah gayā

    sach dāman thaam kar achchhā kiyā ne magar

    ab taraqqī tirī imkān aadhā rah gayā

    muskurā kar jab ulaT us ne chehre se naqāb

    dil meñ jo barpā thā vo tūfān aadhā rah gayā

    ham ne sochā thā ki khā.eñge havā.eñ jail

    ho ga.e lekin barī armān aadhā rah gayā

    jab se maiñ ustād-shā.ir ho gayā huuñ shahr

    ġhair matbūā mirā dīvān aadhā rah gayā

    jab talak zinda rahe 'mansūr' vo puurā rahā

    mar ga.e ibn-e-safī imrān aadhā rah gayā

    saltanat jati rahi sultan aadha rah gaya

    DewDhi girwi hui dalan aadha rah gaya

    hum hue aazad hindustan aadha rah gaya

    phir tajjub kya jo pakistan aadha rah gaya

    aql se farigh hua insan aadha rah gaya

    id do-baala hui ramzan aadha rah gaya

    jitne ke baad wo junhi minister ho gae

    goya un par qaum ka ehsan aadha rah gaya

    sach ka daman tham kar achchha kiya tu ne magar

    ab taraqqi ka teri imkan aadha rah gaya

    muskura kar jab ulaT di us ne chehre se naqab

    dil mein jo barpa tha wo tufan aadha rah gaya

    hum ne socha tha ki khaenge hawaen jail ki

    ho gae lekin bari arman aadha rah gaya

    jab se main ustad-shair ho gaya hun shahr ka

    ghair matbua mera diwan aadha rah gaya

    jab talak zinda rahe 'mansur' wo pura raha

    mar gae ibn-e-safi imran aadha rah gaya

    Source:

    Garm Sooraj Ka Lahu (Pg. 202)

    • Author: Mansoor Umar
      • Publisher: Educational Publishing House, Delhi
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now