samajh baiTha wo aaKHir na-samajh mujhko
samajh baiThā vo āḳhir nā-samajh mujh ko
maiñ jis ko ḳhuub kahtā thā samajh mujh ko
baḌā āsān thā shāyad samajhnā par
baḌī hī der meñ aayā samajh mujh ko
baḌhā kar pyaas vo merī lagā kahne
maiñ dariyā huuñ magar sahrā samajh mujh ko
jise āñkheñ kabhī samjhā nahīñ pā.īñ
bhalā us se maiñ kyoñ kahtā samajh mujh ko
na ḳhud se farz kar kuchh bhī mire baare
maiñ jaisā huuñ kabhī vaisā samajh mujh ko
maiñ tujh se bhiik kyoñ māñgūñ mohabbat kī
na itnā bhī gayā-guzrā samajh mujh ko
agar rishte meñ ho jaa.e fazīhat 'aam
to is rishte se vārasta samajh mujh ko
ba-juz rab ke yahāñ hai 'ārzī har saath
kam-az-kam aa gayā itnā samajh mujh ko
ye dil kā TūTnā bhī lāzmī thā 'zān'
kabhī aatī nahīñ varna samajh mujh ko
samajh baiTha wo aaKHir na-samajh mujh ko
main jis ko KHub kahta tha samajh mujh ko
baDa aasan tha shayad samajhna par
baDi hi der mein aaya samajh mujh ko
baDha kar pyas wo meri laga kahne
main dariya hun magar sahra samajh mujh ko
jise aankhen kabhi samjha nahin pain
bhala us se main kyon kahta samajh mujh ko
na KHud se farz kar kuchh bhi mere bare
main jaisa hun kabhi waisa samajh mujh ko
main tujh se bhik kyon mangun mohabbat ki
na itna bhi gaya-guzra samajh mujh ko
agar rishte mein ho jae fazihat 'am
to is rishte se warasta samajh mujh ko
ba-juz rab ke yahan hai 'arzi har sath
kam-az-kam aa gaya itna samajh mujh ko
ye dil ka TuTna bhi lazmi tha 'zan'
kabhi aati nahin warna samajh mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.