Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samajh mein aata nahin hai ki gungunaun kya

Mohammad Saif Babar

samajh mein aata nahin hai ki gungunaun kya

Mohammad Saif Babar

MORE BYMohammad Saif Babar

    samajh meñ aatā nahīñ hai ki gungunā.ūñ kyā

    vo ḳhud ġhazal hai use maiñ ġhazal sunā.ūñ kyā

    sar se paañv talak husn alāmat hai

    yaqīñ na ho to tujhe ā.īna dikhā.ūñ kyā

    maiñ haal dil tujhe kis tarah batā.ūñ ab

    jāntā hai mire dil dil dikhā.ūñ kyā

    vo rūThe aur manā.ūñ maiñ sochtā huuñ magar

    jo rūThtā nahīñ ho use manā.ūñ kyā

    badan hai tāj-mahal aur āñkheñ sāġhar haiñ

    maiñ shauq piine apnā tujhe batā.ūñ kyā

    vo kah rahā hai yaqīñ karke dekh lo lekin

    maiñ jāntā huuñ use 'saif' āzmā.ūñ kyā

    samajh mein aata nahin hai ki gungunaun kya

    wo KHud ghazal hai use main ghazal sunaun kya

    tu sar se panw talak husn ki alamat hai

    yaqin na ho to tujhe aaina dikhaun kya

    main haal dil ka tujhe kis tarah bataun ab

    tu jaanta hai mere dil ki dil dikhaun kya

    wo ruThe aur manaun main sochta hun magar

    jo ruThta hi nahin ho use manaun kya

    badan hai taj-mahal aur aankhen saghar hain

    main shauq pine ka apna tujhe bataun kya

    wo kah raha hai yaqin karke dekh lo lekin

    main jaanta hun use 'saif' aazmaun kya

    Source:

    Majbooriyan Aisi Hain (Pg. 29)

    • Author: Mohammad Saif Babar
      • Year of Publication: 2002
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now