Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samajhta hai kaun gham ko sahte betab ka dukh

Mudassir ishtiyaaq

samajhta hai kaun gham ko sahte betab ka dukh

Mudassir ishtiyaaq

MORE BYMudassir ishtiyaaq

    samajhtā hai kaun ġham ko sahte betāb dukh

    shabāb ko khā gayā hai Dhalte shabāb dukh

    zamīr dar dar pe ke chāhe de jitnī dastak

    koī nahīñ suntā khol ke dar janāb dukh

    nazar to dilkash haiñ aate saare nazāre lekin

    samajhtī haiñ bahtī āñkheñ bahte chanāb dukh

    kitāb rutba ab to pā-posh ko hai hāsil

    saḌak kināre mujhe hai biktī kitāb dukh

    bigāḌ ke mujh ko man hai maa.il najāt ko ab

    lagā hai man paapī ko gunāh-o-savāb dukh

    kahīñ to dil meñ ye haal Daale ḳhayāl kal

    kahīñ ise maazī hai hālat ḳharāb dukh

    pahāḌ TuuTā na āsmāñ girā 'mudassir'

    sarāb-gar batā rahā thā sarāb dukh

    samajhta hai kaun gham ko sahte betab ka dukh

    shabab ko kha gaya hai Dhalte shabab ka dukh

    zamir dar dar pe ja ke chahe de jitni dastak

    koi nahin sunta khol ke dar janab ka dukh

    nazar to dilkash hain aate sare nazare lekin

    samajhti hain bahti aankhen bahte chanab ka dukh

    kitab ka rutba ab to pa-posh ko hai hasil

    saDak kinare mujhe hai bikti kitab ka dukh

    bigaD ke mujh ko man hai mail najat ko ab

    laga hai man papi ko gunah-o-sawab ka dukh

    kahin to dil mein ye haal Dale KHayal kal ka

    kahin ise mazi ki hai haalat KHarab ka dukh

    pahaD TuTa na aasman hi gira 'mudassir'

    sarab-gar hi bata raha tha sarab ka dukh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now