Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samajhte hain jo apne bap ki jagir miTTi ko

Ghulam Husain Sajid

samajhte hain jo apne bap ki jagir miTTi ko

Ghulam Husain Sajid

MORE BYGhulam Husain Sajid

    samajhte haiñ jo apne baap jāgīr miTTī ko

    banā.ūñgā maiñ un ke paañv zanjīr miTTī ko

    havā sat.h-e-zamīñ par ab ḳhat-e-gulzār khīñchegī

    ki ḳhush aatī nahīñ hai abr tahrīr miTTī ko

    siyah paḌ jā.egī zarroñ rañgat ek pal meñ

    agar qismat se mil jaa.e mirī taqdīr miTTī ko

    jalālī aa.ina ik āsmāñ par mehr-e-tābāñ hai

    banāyā hai zamīñ par sabr tasvīr miTTī ko

    bajā.e ḳhaak uḌte haiñ sitāre merī āñkhoñ meñ

    ki ho jaatī hai aise kaam meñ tāḳhīr miTTī ko

    use mismār karne meñ koī mushkil nahīñ hogī

    pasand aa.ī hai shahr-e-ḳhvāb ta.amīr miTTī ko

    bahut rauñdā gayā hai ḳhaak ko aur ḳhāk-zādoñ ko

    atā jā.egī ab ġhaib se tauqīr miTTī ko

    kamāl apnā dikhā.egā tilismī aa.ina 'sājid'

    ki ab darkār hai ik ḳhvāb ta.abīr miTTī ko

    samajhte hain jo apne bap ki jagir miTTi ko

    banaunga main un ke panw ki zanjir miTTi ko

    hawa sath-e-zamin par ab KHat-e-gulzar khinchegi

    ki KHush aati nahin hai abr ki tahrir miTTi ko

    siyah paD jaegi zarron ki rangat ek hi pal mein

    agar qismat se mil jae meri taqdir miTTi ko

    jalali aaina ek aasman par mehr-e-taban hai

    banaya hai zamin par sabr ki taswir miTTi ko

    bajae KHak uDte hain sitare meri aankhon mein

    ki ho jati hai aise kaam mein taKHir miTTi ko

    use mismar karne mein koi mushkil nahin hogi

    pasand aai hai shahr-e-KHwab ki tamir miTTi ko

    bahut raunda gaya hai KHak ko aur KHak-zadon ko

    ata ki jaegi ab ghaib se tauqir miTTi ko

    kamal apna dikhaega tilismi aaina 'sajid'

    ki ab darkar hai ek KHwab ki tabir miTTi ko

    Source:

    Urdu Adab (Pg. 52)

    • Author: Iqbal Hussain
      • Edition: Jan, Feb. Mar 1996
      • Publisher: Iqbal Hussain Publishers
      • Year of Publication: Jan, Feb. Mar 1996
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now