Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samand-e-garm jo yan us sawar ka pahuncha

Miir Sher Ali Afsos

samand-e-garm jo yan us sawar ka pahuncha

Miir Sher Ali Afsos

MORE BYMiir Sher Ali Afsos

    samand-e-garm jo yaañ us savār pahuñchā

    ġhubār tā-falak is ḳhāksār pahuñchā

    sach batā ki tujhe itnī kyuuñ hai bechainī

    magar payām kisī be-qarār pahuñchā

    male hai paañv se apne vo lāla-rū har-dam

    ye martaba to dil-e-dāġh-dār pahuñchā

    hai yaañ talak to nazākat guloñ ke gajre se

    lachakne lagtā hai us gul-azār pahuñchā

    qafas se chhuTne ummīd nahīñ 'afsos'

    husūl kyā hai jo muzhda bahār pahuñchā

    samand-e-garm jo yan us sawar ka pahuncha

    ghubar ta-falak is KHaksar ka pahuncha

    tu sach bata ki tujhe itni kyun hai bechaini

    magar payam kisi be-qarar ka pahuncha

    male hai panw se apne wo lala-ru har-dam

    ye martaba to dil-e-dagh-dar ka pahuncha

    hai yan talak to nazakat gulon ke gajre se

    lachakne lagta hai us gul-azar ka pahuncha

    qafas se chhuTne ki ummid hi nahin 'afsos'

    husul kya hai jo muzhda bahaar ka pahuncha

    Source :
    • Book : Noquush (Pg. B-385 E396)
    • Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
    • Edition : May June 1954
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now