Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sambhaale abr-e-karam tu sambhal bhi sakti hai

Hajra Noor Zaryab

sambhaale abr-e-karam tu sambhal bhi sakti hai

Hajra Noor Zaryab

MORE BYHajra Noor Zaryab

    sambhāle abr-e-karam sambhal bhī saktī hai

    ye dil shāḳh abhī phūl-phal bhī saktī hai

    bujhāo maġhribī ātish baḌh ke chingārī

    ki is se mashriqī tahzīb jal bhī saktī hai

    'urūj zarf had se nikal na jaa.e kahīñ

    ye shai farāz pe kar phisal bhī saktī hai

    ham aaj zor mohabbat āzmā.eñge

    sunā hai ruḳh ye havā badal bhī saktī hai

    ye sard sard havā.eñ ye chāñdnī ye firāq

    tire liye ye tabī'at machal bhī saktī hai

    kisī pe marne se pahle mujhe na thā mā'lūm

    ki aise jiine hasrat nikal bhī saktī hai

    qadam qadam pe ujāloñ ehtimām karo

    ki chalte chalte kahīñ shaam Dhal bhī saktī hai

    kamāl-e-zabt ko mere mirā ḳhudā rakkhe

    ye muflisī mire TukḌoñ pe pal bhī saktī hai

    ḳhulūs-e-mehr-o-vafā pyaar aur mohabbat se

    badal ke dekhiye duniyā badal bhī saktī hai

    harī-bharī rutoñ meñ ye Dhal bhī saktī hai

    ḳhizāñ zard rangat badal bhī saktī hai

    adab shaan banūñ aarzū ye hai 'zaryāb'

    magar ye kyā mirī hasrat nikal bhī saktī hai

    sambhaale abr-e-karam tu sambhal bhi sakti hai

    ye dil ki shaKH abhi phul-phal bhi sakti hai

    bujhao maghribi aatish ki baDh ke chingari

    ki is se mashriqi tahzib jal bhi sakti hai

    'uruj zarf ki had se nikal na jae kahin

    ye shai faraaz pe ja kar phisal bhi sakti hai

    hum aaj zor mohabbat ka aazmaenge

    suna hai ruKH ye hawa ka badal bhi sakti hai

    ye sard sard hawaen ye chandni ye firaq

    tere liye ye tabi'at machal bhi sakti hai

    kisi pe marne se pahle mujhe na tha ma'lum

    ki aise jine ki hasrat nikal bhi sakti hai

    qadam qadam pe ujalon ka ehtimam karo

    ki chalte chalte kahin sham Dhal bhi sakti hai

    kamal-e-zabt ko mere mera KHuda rakkhe

    ye muflisi mere TukDon pe pal bhi sakti hai

    KHulus-e-mehr-o-wafa pyar aur mohabbat se

    badal ke dekhiye duniya badal bhi sakti hai

    hari-bhari si ruton mein ye Dhal bhi sakti hai

    KHizan ki zard si rangat badal bhi sakti hai

    adab ki shan banun aarzu ye hai 'zaryab'

    magar ye kya meri hasrat nikal bhi sakti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now