Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sambhal kar aah bharna ai asir-e-dam-e-tanhai

Jumbish Khairabadi

sambhal kar aah bharna ai asir-e-dam-e-tanhai

Jumbish Khairabadi

MORE BYJumbish Khairabadi

    sambhal kar aah bharnā ai asīr-e-dām-e-tanhā.ī

    kahīñ hāthoñ se chhuT jaa.e na dāmān-e-shakebā.ī

    ajab andāz rakhtī hai adā-e-dasht-paimā.ī

    ki ḳhud ḳhaar baḌh kar chūmte haiñ pā-e-saudā.ī

    jo rañg-e-husn-e-ḳhāmoshī hai vo khotī hai goyā.ī

    huā jab lab-kushā ġhuncha to bāhar nikal aa.ī

    abhī to bas tasavvur hai tumhāre āstāne

    abhī dekhā kahāñ tum ne mirā zauq-e-jabīñ-sā.ī

    kuchh is andāz se chheḌā nigāh-e-nāz-e-jānāñ ne

    ki rah rah kar hamāre dil ke zaḳhmoñ ko hañsī aa.ī

    rahe inkār meñ iqrār e.ajāz bhī pinhāñ

    karo ḳhūn-e-vafā lekin ba-andāz-e-masīhā.ī

    araq-āgīñ jabīñ insāniyat ho ga.ī 'jumbish'

    ki daur aayā hai vo sharm-o-hayā aañkh bhar aa.ī

    sambhal kar aah bharna ai asir-e-dam-e-tanhai

    kahin hathon se chhuT jae na daman-e-shakebai

    ajab andaz rakhti hai ada-e-dasht-paimai

    ki KHud hi KHar baDh kar chumte hain pa-e-saudai

    jo rang-e-husn-e-KHamoshi hai wo khoti hai goyai

    hua jab lab-kusha ghuncha to bahar bu nikal aai

    abhi to bas tasawwur hai tumhaare aastane ka

    abhi dekha kahan tum ne mera zauq-e-jabin-sai

    kuchh is andaz se chheDa nigah-e-naz-e-jaanan ne

    ki rah rah kar hamare dil ke zaKHmon ko hansi aai

    rahe inkar mein iqrar ka eajaz bhi pinhan

    karo KHun-e-wafa lekin ba-andaz-e-masihai

    araq-agin jabin insaniyat ki ho gai 'jumbish'

    ki daur aaya hai wo sharm-o-haya ki aankh bhar aai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now