Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sambhal na pae to taqsir-e-waqai bhi nahin

Aziz Hamid Madni

sambhal na pae to taqsir-e-waqai bhi nahin

Aziz Hamid Madni

MORE BYAziz Hamid Madni

    sambhal na paa.e to taqsīr-e-vāqa.ī bhī nahīñ

    har ik pe sahl kuchh ādāb-e-mai-kashī bhī nahīñ

    idhar udhar se hadīs-e-ġham-e-jahāñ kah kar

    tirī baat aur terī baat bhī nahīñ

    vafā-e-vāda pe dil nukta-chīñ hai vo ḳhāmosh

    hadīs-e-mehr-o-vafā aaj guftanī bhī nahīñ

    bikhar ke husn-e-jahāñ nizām kyā hogā

    ye barhamī tirī zulfoñ barhamī bhī nahīñ

    shikast-e-sāġhar-o-mīnā ko ḳhaak rotā maiñ

    girāñ abhī mire dil shikastagī bhī nahīñ

    hazār shukr ki be-ḳhvāb hai sahar ke liye

    vo chashm-e-nāz ki jo jāgtoñ meñ thī bhī nahīñ

    ye zindagī talavvun-mizāj hai ai dost

    tamām tark-e-vafā terī be-ruḳhī bhī nahīñ

    ta.alluqāt-e-zamāna ik kaḌī ke sivā

    kuchh aur ye tirā paimān-e-dostī bhī nahīñ

    karam vajah na thī be-sabab ḳhafā bhī hai vo

    mizāj-e-husn se ye baat duur thī bhī nahīñ

    sambhal na pae to taqsir-e-waqai bhi nahin

    har ek pe sahl kuchh aadab-e-mai-kashi bhi nahin

    idhar udhar se hadis-e-gham-e-jahan kah kar

    teri hi baat ki aur teri baat ki bhi nahin

    wafa-e-wada pe dil nukta-chin hai wo KHamosh

    hadis-e-mehr-o-wafa aaj guftani bhi nahin

    bikhar ke husn-e-jahan ka nizam kya hoga

    ye barhami teri zulfon ki barhami bhi nahin

    shikast-e-saghar-o-mina ko KHak rota main

    giran abhi mere dil ki shikastagi bhi nahin

    hazar shukr ki be-KHwab hai sahar ke liye

    wo chashm-e-naz ki jo jagton mein thi bhi nahin

    ye zindagi hi talawwun-mizaj hai ai dost

    tamam tark-e-wafa teri be-ruKHi bhi nahin

    talluqat-e-zamana ki ek kaDi ke siwa

    kuchh aur ye tera paiman-e-dosti bhi nahin

    karam ki wajah na thi be-sabab KHafa bhi hai wo

    mizaj-e-husn se ye baat dur thi bhi nahin

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 155)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now