samjhe koi to itna bhi mushkil nahin hun main
samjhe koī to itnā bhī mushkil nahīñ huuñ maiñ
dariyā-e-ġham kī mauj huuñ sāhil nahīñ huuñ maiñ
har-chand ye vujūd thā ik dasht-e-be-karāñ
lekin kisī ġhubār kā hāmil nahīñ huuñ meñ
mujh ko tumhārā husn sañvāregā aur kyā
ab to nigāh-e-nāz kā bismil nahīñ huuñ maiñ
ye aur baat kī hai 'adū se mubārazat
maqtūl to zarūr huuñ qātil nahīñ huuñ maiñ
kaaTī hai ek 'umr bhī she'r-o-suḳhan ke saath
lekin ġhazal ke fan meñ bhī kāmil nahīñ huuñ maiñ
samjhe koi to itna bhi mushkil nahin hun main
dariya-e-gham ki mauj hun sahil nahin hun main
har-chand ye wujud tha ek dasht-e-be-karan
lekin kisi ghubar ka hamil nahin hun mein
mujh ko tumhaara husn sanwarega aur kya
ab to nigah-e-naz ka bismil nahin hun main
ye aur baat ki hai 'adu se mubarazat
maqtul to zarur hun qatil nahin hun main
kaTi hai ek 'umr bhi she'r-o-suKHan ke sath
lekin ghazal ke fan mein bhi kaamil nahin hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.