samt-e-girdab baDha hun main pawan ke manind
samt-e-girdāb baḌhā huuñ maiñ pavan ke mānind
mauj-dar-mauj samandar hai shikan ke mānind
chhupne vaalā koī bāġhoñ meñ dikhā.ī na diyā
ḳhushbueñ uḌtī rahīñ bū-e-badan ke mānind
dhund meñ lipTe hue aise bhī chehre dekhe
sham' kī lau meñ utarte haiñ kiran ke mānind
pheñk do mujh ko añdheroñ kī lahad meñ yaaro
chāñdnī phail ga.ī rang-e-kafan ke mānind
ab bhī chhā jaatā hai yādoñ kī suhānī rut meñ
terā ehsās dimāġhoñ pe thakan ke mānind
'shād' maTiyāle jazīroñ se guzarte hoñge
ye bagūle bhī ġhazālān-e-ḳhutan ke mānind
samt-e-girdab baDha hun main pawan ke manind
mauj-dar-mauj samandar hai shikan ke manind
chhupne wala koi baghon mein dikhai na diya
KHushbuen uDti rahin bu-e-badan ke manind
dhund mein lipTe hue aise bhi chehre dekhe
sham' ki lau mein utarte hain kiran ke manind
phenk do mujh ko andheron ki lahad mein yaro
chandni phail gai rang-e-kafan ke manind
ab bhi chha jata hai yaadon ki suhani rut mein
tera ehsas dimaghon pe thakan ke manind
'shad' maTiyale jaziron se guzarte honge
ye bagule bhi ghazalan-e-KHutan ke manind
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.