Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samundar bhi hua ibrat-nishan pani hi pani

Rakhshanda Naved

samundar bhi hua ibrat-nishan pani hi pani

Rakhshanda Naved

MORE BYRakhshanda Naved

    samundar bhī huā ibrat-nishāñ paanī paanī

    mire chāroñ taraf hai al-amāñ paanī paanī

    ajab duniyā hai is ko fikr-e-duniyā nahīñ hai

    faqat dekhā hai to girya-kunāñ paanī paanī

    nigāh-e-nam se is nisbat bhī rishta joḌe rakkhā

    ki maiñ huuñ ek sahrā aur vahāñ paanī paanī

    tumhāre saath jis dam tan-badan bārish meñ bhīgā

    lahū ban kar ragoñ meñ thā ravāñ paanī paanī

    samundar se hasad karne ko ab chāhtā hai

    hazāroñ saal se yūñhī javāñ paanī paanī

    yahāñ se bach nikalne koī rasta nahīñ hai

    kināre aur un ke darmiyāñ paanī paanī

    samundar bhi hua ibrat-nishan pani hi pani

    mere chaaron taraf hai al-aman pani hi pani

    ajab duniya hai is ko fikr-e-duniya hi nahin hai

    faqat dekha hai to girya-kunan pani hi pani

    nigah-e-nam se is nisbat bhi rishta joDe rakkha

    ki main hun ek sahra aur wahan pani hi pani

    tumhaare sath jis dam tan-badan barish mein bhiga

    lahu ban kar ragon mein tha rawan pani hi pani

    samundar se hasad karne ko ab ji chahta hai

    hazaron sal se yunhi jawan pani hi pani

    yahan se bach nikalne ka koi rasta nahin hai

    kinare aur un ke darmiyan pani hi pani

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now