Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samundaron ke safar mein nadi ki pyas bujhe

Badr Shamsi

samundaron ke safar mein nadi ki pyas bujhe

Badr Shamsi

MORE BYBadr Shamsi

    samundaroñ ke safar meñ nadī pyaas bujhe

    hamāre ḳhuun se shāyad kisī pyaas bujhe

    na jaane kitne ujāloñ ko chukī lekin

    na jaane kab mirī tīra-shabī pyaas bujhe

    mirā sukūt bhī āvāz samundar hai

    jo ik nazar mujhe chhū le usī pyaas bujhe

    matā'-e-soz-e-nihāñ aur baḳhsh de mujh ko

    kisī tarah tirī dariyā-dilī pyaas bujhe

    savād-e-manzil-e-jānāñ ki kūcha-e-qātil

    kahīñ to ke ġham-e-zindagī pyaas bujhe

    nasīb-e-ahl-e-nazar hai safar sarāboñ

    na bujh sakī na kabhī jiite pyaas bujhe

    vo tere gaañv panghaT thā merā shahr nahīñ

    ki chale to kisī ajnabī pyaas bujhe

    pighal bhī jaa.e jo ye barf us ke chehre

    yaqīñ nahīñ mirī be-chehragī pyaas bujhe

    baraste tīroñ bārish meñ ham haiñ sīna-kushā

    yahī vo rut hai ki dil lagī pyaas bujhe

    mile na jaane kahāñ 'badr' chashma-e-zulmāt

    ḳhabar nahīñ ki kahāñ shab-ravī pyaas bujhe

    samundaron ke safar mein nadi ki pyas bujhe

    hamare KHun se shayad kisi ki pyas bujhe

    na jaane kitne ujalon ko pi chuki lekin

    na jaane kab meri tira-shabi ki pyas bujhe

    mera sukut bhi aawaz ka samundar hai

    jo ek nazar mujhe chhu le usi ki pyas bujhe

    mata'-e-soz-e-nihan aur baKHsh de mujh ko

    kisi tarah teri dariya-dili ki pyas bujhe

    sawad-e-manzil-e-jaanan ki kucha-e-qatil

    kahin to ja ke gham-e-zindagi ki pyas bujhe

    nasib-e-ahl-e-nazar hai safar sarabon ka

    na bujh saki na kabhi jite ji ki pyas bujhe

    wo tere ganw ka panghaT tha mera shahr nahin

    ki lu chale to kisi ajnabi ki pyas bujhe

    pighal bhi jae jo ye barf us ke chehre ki

    yaqin nahin meri be-chehragi ki pyas bujhe

    baraste tiron ki barish mein hum hain sina-kusha

    yahi wo rut hai ki dil ki lagi ki pyas bujhe

    mile na jaane kahan 'badr' chashma-e-zulmat

    KHabar nahin ki kahan shab-rawi ki pyas bujhe

    Source:

    Khwabon Ka Lahu (Pg. 46)

    • Author: Badr Shamsi
      • Publisher: Badr Shamsi
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now