aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samundaron se kabhi dasht se guzarne mein

Wafa Naqvi

samundaron se kabhi dasht se guzarne mein

Wafa Naqvi

MORE BYWafa Naqvi

    samundaroñ se kabhī dasht se guzarne meñ

    hue tamām safar zindagī karne meñ

    bas us ne aa ke zarā aa.ine ko dekhā thā

    zarā der lagī raushnī bikharne meñ

    bichhaḌnā shāḳh se kal bhī hai aur aaj bhī hai

    to āñdhiyoñ se bhalā kyā rakhā hai Darne meñ

    maiñ be-sabab muḳhātab huā darīche se

    nahā rahā thā vo yādoñ ke ek jharne meñ

    bas ek pal tamannā-e-vasl ḳhātir

    tamām-umr lagā ga.ī sañvarne meñ

    ye aur baat junūñ ko sukūñ mile mile na mile

    tabīb lag to ga.e ek zaḳhm bharne meñ

    na jaane saare parinde kahāñ hue ġhā.eb

    maza rahā nahīñ saa.e meñ Thaharne meñ

    samundaron se kabhi dasht se guzarne mein

    hue tamam safar zindagi ka karne mein

    bas us ne aa ke zara aaine ko dekha tha

    zara si der lagi raushni bikharne mein

    bichhaDna shaKH se kal bhi hai aur aaj bhi hai

    to aandhiyon se bhala kya rakha hai Darne mein

    main be-sabab hi muKHatab hua dariche se

    naha raha tha wo yaadon ke ek jharne mein

    bas ek pal ki tamanna-e-wasl ki KHatir

    tamam-umr laga di gai sanwarne mein

    ye aur baat junun ko sukun mile mile na mile

    tabib lag to gae ek zaKHm bharne mein

    na jaane sare parinde kahan hue ghaeb

    maza raha hi nahin sae mein Thaharne mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now