Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

san lewe agar tu meri dildar ki aawaz

Shah Aasim

san lewe agar tu meri dildar ki aawaz

Shah Aasim

MORE BYShah Aasim

    sun leve agar mirī dildār āvāz

    hargiz na sune phir kabhūñ mizmār āvāz

    khul jāveñ agar kaan tire dil ke to be-shak

    har samt se phir aa.e tujhe yaar āvāz

    sun kar vo sadā tā.ir-e-dil mire bole

    shāyad ki ye hai bulbul-e-gulzār āvāz

    ho jaave kamāñ tīr-e-falak bār-e-alam se

    sun leve jo tere lab-e-sofār āvāz

    murde ko jilā kar ke banāve hai masīhā

    ai īsā-e-daurāñ tirī raftār āvāz

    suntā huuñ maiñ 'āsim' shah-e-ḳhādim ke laboñ se

    har lahza badal shiblī aur attār āvāz

    sun lewe agar tu meri dildar ki aawaz

    hargiz na sune phir kabhun mizmar ki aawaz

    khul jawen agar kan tere dil ke to be-shak

    har samt se phir aae tujhe yar ki aawaz

    sun kar wo sada tair-e-dil ki mere bole

    shayad ki ye hai bulbul-e-gulzar ki aawaz

    ho jawe kaman tir-e-falak bar-e-alam se

    sun lewe jo tere lab-e-sofar ki aawaz

    murde ko jila kar ke banawe hai masiha

    ai isa-e-dauran teri raftar ki aawaz

    sunta hun main 'asim' shah-e-KHadim ke labon se

    har lahza badal shibli aur attar ki aawaz

    Source:

    Deewan-e-Aasim (Pg. 10)

    • Author: Shah Aasim
      • Publisher: Matba Dariya-e-Latafat, Kanpur
      • Year of Publication: 1866
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now