sanam teri gali mein mai-kada ho kya maza ho

sanam teri gali mein mai-kada ho kya maza ho
Ravindra Chaswal Rafeeq
MORE BYRavindra Chaswal Rafeeq
sanam terī galī meñ mai-kada ho kyā maza ho
visāl-e-yār mumkin ho na ho kuchh to nasha ho
maiñ apnā chāñd āñkhoñ meñ basā.e muntazir huuñ
mujhe bhī chāñd koī aaj chhup kar dekhtā ho
'ibādat kī tarah us ne mujhe chāhā hai lekin
mohabbat karne vaalā bhī zarā sā bevafā ho
mire naġhme zamāne bhar meñ gaa.e jā rahe haiñ
tumhīñ vo she'r ho jo zindagī meñ rah gayā ho
palak jhapke na mujh ko niiñd aa.e sochtā huuñ
tirī tasvīr ho bas 'umr-bhar kā ratjagā ho
usī ko DhūñDhtā huuñ maiñ yahī ik aas le kar
mire baare meñ koī mujh se behtar sochtā ho
zamāne bhar ke rishtoñ ko nazar-andāz kar deñ
hamāre darmiyāñ ulfat kā aisā silsila ho
musalsal qurbateñ ham ko na yuuñ bezār kar deñ
zarā socho ke ham tum meñ kabhī to fāsla ho
sabhī ne iḳhtilāf-e-rā.e ke ḳhanjar se maarā
'rafīq'-e-man batā terā jo koī ham-navā ho
sanam teri gali mein mai-kada ho kya maza ho
visal-e-yar mumkin ho na ho kuchh to nasha ho
main apna chand aankhon mein basae muntazir hun
mujhe bhi chand koi aaj chhup kar dekhta ho
'ibaadat ki tarah us ne mujhe chaha hai lekin
mohabbat karne wala bhi zara sa bewafa ho
mere naghme zamane bhar mein gae ja rahe hain
tumhin wo she'r ho jo zindagi mein rah gaya ho
palak jhapke na mujh ko nind aae sochta hun
teri taswir ho bas 'umr-bhar ka ratjaga ho
usi ko DhunDhta hun main yahi ek aas le kar
mere bare mein koi mujh se behtar sochta ho
zamane bhar ke rishton ko nazar-andaz kar den
hamare darmiyan ulfat ka aisa silsila ho
musalsal qurbaten hum ko na yun bezar kar den
zara socho ke hum tum mein kabhi to fasla ho
sabhi ne iKHtilaf-e-rae ke KHanjar se mara
'rafiq'-e-man bata tera jo koi ham-nawa ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.