Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sanbhaalta hai tera dast-e-moatabar mujhko

Syed Mujeebul Hasan

sanbhaalta hai tera dast-e-moatabar mujhko

Syed Mujeebul Hasan

MORE BYSyed Mujeebul Hasan

    sañbhāltā hai tirā dast-e-mo'atabar mujh ko

    to kis liye ho koī ḳhauf ḳhatar mujh ko

    bas ek baar tirī justujū meñ niklā thā

    phir is ke baad na apnī milī ḳhabar mujh ko

    vo ik makān jo parchhā.iyoñ maskan hai

    vahī bulātā hai muddat se raat bhar mujh ko

    khulā yahī ki hai vo zard mausamoñ naqīb

    jo lag rahā thā bahāroñ nāma-bar mujh ko

    na jaane kab se khaḌā huuñ ḳhirad sarhad par

    havā-e-kū-e-junūñ aa shikār kar mujh ko

    kuchh intizām na.e bāl-o-par ho jaa.e

    digar jahān darpesh hai safar mujh ko

    sañvārne meñ lagā thā maiñ jis ke shām-o-sahar

    samajh rahā thā vahī shaḳhs be-hunar mujh ko

    havā-e-sub.h hai hai shamīm-e-jāñ-afroz

    jagāne aatā hai koī dam-e-sahar mujh ko

    ye sochtā huuñ ki sahrā ko apnā ghar kar luuñ

    ki raas aa na sake apne bām-o-dar mujh ko

    nazar jhukā ke mujhe DhūñD apne paikar meñ

    talāsh kartā hai kyoñ idhar udhar mujh ko

    mujhe talāsh thī jis vahī milā na 'mujīb'

    qadam qadam pe mile yuuñ to dīda-var mujh ko

    sanbhaalta hai tera dast-e-mo'atabar mujh ko

    to kis liye ho koi KHauf ya KHatar mujh ko

    bas ek bar teri justuju mein nikla tha

    phir is ke baad na apni mili KHabar mujh ko

    wo ek makan jo parchhaiyon ka maskan hai

    wahi bulata hai muddat se raat bhar mujh ko

    khula yahi ki hai wo zard mausamon ka naqib

    jo lag raha tha bahaaron ka nama-bar mujh ko

    na jaane kab se khaDa hun KHirad ki sarhad par

    hawa-e-ku-e-junun aa shikar kar mujh ko

    kuchh intizam nae baal-o-par ka ho jae

    digar jahan ka darpesh hai safar mujh ko

    sanwarne mein laga tha main jis ke sham-o-sahar

    samajh raha tha wahi shaKHs be-hunar mujh ko

    hawa-e-subh hai ya hai shamim-e-jaan-afroz

    jagane aata hai koi dam-e-sahar mujh ko

    ye sochta hun ki sahra ko apna ghar kar lun

    ki ras aa na sake apne baam-o-dar mujh ko

    nazar jhuka ke mujhe DhunD apne paikar mein

    talash karta hai kyon tu idhar udhar mujh ko

    mujhe talash thi jis ki wahi mila na 'mujib'

    qadam qadam pe mile yun to dida-war mujh ko

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now