sanbhal nahin gai hazrat durust ho gai hai
sañbhal nahīñ ga.ī hazrat durust ho ga.ī hai
bigaḌ ke aur bhī hālat durust ho ga.ī hai
'ajīb baat sunī hai ḳhudā mu'āf kare
ki āñ-janāb kī sohbat durust ho ga.ī hai
ḳharāb shai huā kartī thī koī din pahle
tujhe milī hai to shohrat durust ho ga.ī hai
na-jāne kaun muḳhātib hai in dinoñ mujh se
koī bhī ho mirī luknat durust ho ga.ī hai
ġhalat to ḳhair mohabbat meñ aur kyā hotā
magar ye hai ki tabī'at durust ho ga.ī hai
abhī gayā hai mujhe koste hue koī
ki us ta.iiñ mirī niyyat durust ho ga.ī hai
khulā ki us se bichhaḌne kī der thī 'javvād'
mirī ik aur bhī 'ādat durust ho ga.ī hai
sanbhal nahin gai hazrat durust ho gai hai
bigaD ke aur bhi haalat durust ho gai hai
'ajib baat suni hai KHuda mu'af kare
ki aan-janab ki sohbat durust ho gai hai
KHarab shai hua karti thi koi din pahle
tujhe mili hai to shohrat durust ho gai hai
na-jaane kaun muKHatib hai in dinon mujh se
koi bhi ho meri luknat durust ho gai hai
ghalat to KHair mohabbat mein aur kya hota
magar ye hai ki tabi'at durust ho gai hai
abhi gaya hai mujhe koste hue koi
ki us tain meri niyyat durust ho gai hai
khula ki us se bichhaDne ki der thi 'jawwad'
meri ek aur bhi 'adat durust ho gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.