Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sang-dil hai asar us pe hoga nahin qissa-e-gham sunane se kya faeda

Mahboob Khan Raunaq

sang-dil hai asar us pe hoga nahin qissa-e-gham sunane se kya faeda

Mahboob Khan Raunaq

MORE BYMahboob Khan Raunaq

    sang-dil hai asar us pe hogā nahīñ qissa-e-ġham sunāne se kyā fā.eda

    kam to hotī nahīñ sozish-e-zindagī āñsuoñ meñ nahāne se kyā fā.eda

    raaz rakhte ho kyoñ saaf farmā.iye dil bāteñ chhupāne se kyā fā.eda

    aas de de ke māyūs karte ho kyoñ yuuñ kisī ko satāne se kyā fā.eda

    apnī tishna-labī shikāyat nahīñ ye to sāqī-garī bhī tauhīn hai

    mai-kashī taqāzā samjhiye zarā qatra-qatra chakhāne se kyā fā.eda

    ḳhauf-e-sayyād hai bijliyoñ hai Dar nā-muvāfiq havā hai fazā pur-ḳhatar

    jab muḳhālif hai itne zamīñ āsmāñ phir nasheman banāne se kyā fā.eda

    āmad-e-fasl-e-gul ho mubārak tumheñ ahl-e-gulshan magar ye to farmā.iye

    jo kisī ke gale na zīnat bane aisī kaliyāñ khilāne se kyā fā.eda

    chāñdnī tarah vajh-e-farhat bane husn se kuchh ziyā-e-mohabbat mile

    barq ban kar jalā de jo duniyā mirī aisā jalva dikhāne se kyā fā.eda

    raaz is meñ nahīñ koī is ke sivā maiñ jo ḳhāmosh huuñ 'raunaq'-e-be-navā

    jis se fariyād hai vo to suntā nahīñ phir jahāñ ko sunāne se kyā fā.eda

    sang-dil hai asar us pe hoga nahin qissa-e-gham sunane se kya faeda

    kam to hoti nahin sozish-e-zindagi aansuon mein nahane se kya faeda

    raaz rakhte ho kyon saf farmaiye dil ki baaten chhupane se kya faeda

    aas de de ke mayus karte ho kyon yun kisi ko satane se kya faeda

    apni tishna-labi ki shikayat nahin ye to saqi-gari ki bhi tauhin hai

    mai-kashi ka taqaza samjhiye zara qatra-qatra chakhane se kya faeda

    KHauf-e-sayyaad hai bijliyon ka hai Dar na-muwafiq hawa hai faza pur-KHatar

    jab muKHalif hai itne zamin aasman phir nasheman banane se kya faeda

    aamad-e-fasl-e-gul ho mubarak tumhein ahl-e-gulshan magar ye to farmaiye

    jo kisi ke gale ki na zinat bane aisi kaliyan khilane se kya faeda

    chandni ki tarah wajh-e-farhat bane husn se kuchh ziya-e-mohabbat mile

    barq ban kar jala de jo duniya meri aisa jalwa dikhane se kya faeda

    raaz is mein nahin koi is ke siwa main jo KHamosh hun 'raunaq'-e-be-nawa

    jis se fariyaad hai wo to sunta nahin phir jahan ko sunane se kya faeda

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 55)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now