Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sang hain nawak-e-dushnam hain ruswai hai

Razi Akhtar Shauq

sang hain nawak-e-dushnam hain ruswai hai

Razi Akhtar Shauq

MORE BYRazi Akhtar Shauq

    sañg haiñ nāvak-e-dushnām haiñ rusvā.ī hai

    ye tire shahr andāz-e-pazīrā.ī hai

    kitnā phailegā ye ik vasl lamha āḳhir

    kyā sameToge ki ik 'umr tanhā.ī hai

    kuchh to yāroñ se milā sañg-e-malāmat sahī

    kis ne is shahr meñ yuuñ dād-e-hunar paa.ī hai

    ek patthar idhar aayā hai to is soch meñ huuñ

    merī is shahr meñ kis kis se shanāsā.ī hai

    'shauq' jis din se charāġhāñ hai ḳhayāloñ galī

    jashn jashn hai tanhā.ī tanhā.ī hai

    sang hain nawak-e-dushnam hain ruswai hai

    ye tere shahr ka andaz-e-pazirai hai

    kitna phailega ye ek wasl ka lamha aaKHir

    kya sameToge ki ek 'umr ki tanhai hai

    kuchh to yaron se mila sang-e-malamat hi sahi

    kis ne is shahr mein yun dad-e-hunar pai hai

    ek patthar idhar aaya hai to is soch mein hun

    meri is shahr mein kis kis se shanasai hai

    'shauq' jis din se charaghan hai KHayalon ki gali

    jashn sa jashn hai tanhai si tanhai hai

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 817)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now