Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sang ho ya aaina sab ki kahani ek hai

Nihal Rizvi

sang ho ya aaina sab ki kahani ek hai

Nihal Rizvi

MORE BYNihal Rizvi

    sang ho aa.ina sab kahānī ek hai

    aag sab ek hai aur sab paanī ek hai

    kuchh haqīqat-āshnā haiñ ab bhī go thoḌe sahī

    is na.ī duniyā meñ bhī duniyā purānī ek hai

    qalb aur ehsās se yaksāñ hai sab silsila

    hoñ junūñ vaale kahīñ bhī rājdhānī ek hai

    hākimān-e-ahd-e-nau sab maslahat ke haiñ ġhulām

    ho kahīñ koī raaja sab raanī ek hai

    koī hañs kar chashm nam hai koī ro kar tar-ba-tar

    aañkh har ik judā hai sab paanī ek hai

    jur.at-e-iz.hār nāpaid hai jaise 'nihāl'

    sab zabāñ rakhte haiñ sab be-zabānī ek hai

    sang ho ya aaina sab ki kahani ek hai

    aag sab ki ek hai aur sab ka pani ek hai

    kuchh haqiqat-ashna hain ab bhi go thoDe sahi

    is nai duniya mein bhi duniya purani ek hai

    qalb aur ehsas se yaksan hai sab ka silsila

    hon junun wale kahin bhi rajdhani ek hai

    hakiman-e-ahd-e-nau sab maslahat ke hain ghulam

    ho kahin ka koi raja sab ki rani ek hai

    koi hans kar chashm nam hai koi ro kar tar-ba-tar

    aankh har ek ki juda hai sab ka pani ek hai

    jurat-e-izhaar hi napaid hai jaise 'nihaal'

    sab zaban rakhte hain sab ki be-zabani ek hai

    Source:

    Taaki Sanad Rahe (Pg. 67)

    • Author: Nihal Rizvi
      • Publisher: Nihal Rizvi
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now