Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sang ko chhoD ke tu ne kabhi socha hi nahin

Bubbles Hora Saba

sang ko chhoD ke tu ne kabhi socha hi nahin

Bubbles Hora Saba

MORE BYBubbles Hora Saba

    sañg ko chhoḌ ke ne kabhī sochā nahīñ

    apnī hastī meñ ḳhudā ko kabhī DhūñDā nahīñ

    uljhā uljhā hai kyuuñ apne bharam meñ har-dam

    ne ḳhud apne garebān meñ jhāñkā nahīñ

    tere hone se karam us nazar aatā hai

    tujh se baḌh kar koī shāhid vo dikhātā nahīñ

    us ke bandoñ meñ use DhūñDh agar hai ḳhvāhish

    vo sanam-ḳhānoñ ke dar par kabhī dikhtā nahīñ

    lamha lamha vo samāyā hai rag-o-pai meñ 'sabā'

    had se aage kabhī ehsās ne chhoḌā nahīñ

    sang ko chhoD ke tu ne kabhi socha hi nahin

    apni hasti mein KHuda ko kabhi DhunDa hi nahin

    uljha uljha sa hai kyun apne bharam mein har-dam

    tu ne KHud apne gareban mein jhanka hi nahin

    tere hone se karam us ka nazar aata hai

    tujh se baDh kar koi shahid wo dikhata hi nahin

    us ke bandon mein use DhunDh agar hai KHwahish

    wo sanam-KHanon ke dar par kabhi dikhta hi nahin

    lamha lamha wo samaya hai rag-o-pai mein 'saba'

    had se aage kabhi ehsas ne chhoDa hi nahin

    Source:

    Ehsaas (Pg. 189)

    • Author: Bubbles Hora Saba
      • Publisher: Bubbles Hora Saba
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now