Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sang par phul khilane ka hunar aata hai

Kalim Shadab

sang par phul khilane ka hunar aata hai

Kalim Shadab

MORE BYKalim Shadab

    sang par phuul khilāne hunar aatā hai

    mujh ko ehsās jagāne hunar aatā hai

    aa.ine mujh se ḳhafā rahte haiñ kyūñki mujh ko

    sher meñ shakl dikhāne hunar aatā hai

    kaun hai koī nahīñ rab ke alāva jis ko

    aag ko phuul banāne hunar aatā hai

    aañkh ko ḳhvāb dikhā.eñ sabhī lekin mujh ko

    ḳhvāb ko ḳhvāb dikhāne hunar aatā hai

    is tavassut se bhī pariyāñ mujhe pahchāntī haiñ

    chāñd par rang jamāne hunar aatā hai

    aañkh ke paar mire dekh nahīñ saktā koī

    dard-e-dil mujh ko chhupāne hunar aatā hai

    ye hunar mujh ko virāsat meñ milā purkhoñ se

    dasht meñ ḳhaak uḌāne hunar aatā hai

    maiñ samundar nahīñ ik abr huuñ 'shādāb' jise

    dasht pyaas bujhāne hunar aatā hai

    sang par phul khilane ka hunar aata hai

    mujh ko ehsas jagane ka hunar aata hai

    aaine mujh se KHafa rahte hain kyunki mujh ko

    sher mein shakl dikhane ka hunar aata hai

    kaun hai koi nahin rab ke alawa jis ko

    aag ko phul banane ka hunar aata hai

    aankh ko KHwab dikhaen sabhi lekin mujh ko

    KHwab ko KHwab dikhane ka hunar aata hai

    is tawassut se bhi pariyan mujhe pahchanti hain

    chand par rang jamane ka hunar aata hai

    aankh ke par mere dekh nahin sakta koi

    dard-e-dil mujh ko chhupane ka hunar aata hai

    ye hunar mujh ko wirasat mein mila purkhon se

    dasht mein KHak uDane ka hunar aata hai

    main samundar nahin ek abr hun 'shadab' jise

    dasht ki pyas bujhane ka hunar aata hai

    Source:

    Husn-e-Taghazzul (Pg. 73)

    • Author: Kalim Shadab
      • Publisher: Ideal Publication House, Nagpur
      • Year of Publication: 2020
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now