Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sangin nahin ki taj-mahal marmarin nahin

Rasheed Kausar Farooquee

sangin nahin ki taj-mahal marmarin nahin

Rasheed Kausar Farooquee

MORE BYRasheed Kausar Farooquee

    sañgīñ nahīñ ki tāj-mahal marmarīñ nahīñ

    kyā zalzale dev bhī zer-e-zamīñ nahīñ

    vo din ga.e ki hote the murġhān-e-tar-navāz

    ab kaun hai chaman meñ jo ġhuncha-nashīñ nahīñ

    kis karishma hai ye tanavvo nigāh

    aisā nahīñ koī jo kisī hasīñ nahīñ

    ta.avīz mol laa.e haiñ sālosiyāñ se ham

    as.hāb-e-e'tiqād haiñ sāhab-yaqīñ nahīñ

    chhup-chhup ke vo bhī merī taraf dekhtā hai kyuuñ

    inshā tarah maiñ to koī nāznīñ nahīñ

    murġhān-e-ham-safīr umreñ darāz hoñ

    merī bhī ik navā hai navā-e-navīñ nahīñ

    ai ishq sab ko hai tirī yūrish intizār

    jo jo qalam-raveñ tire zer-e-nagīñ nahīñ

    sangin nahin ki taj-mahal marmarin nahin

    kya zalzale ka dew bhi zer-e-zamin nahin

    wo din gae ki hote the murghan-e-tar-nawaz

    ab kaun hai chaman mein jo ghuncha-nashin nahin

    kis ka karishma hai ye tanawwo nigah ka

    aisa nahin koi jo kisi ka hasin nahin

    tawiz mol lae hain salosiyan se hum

    ashab-e-e'tiqad hain sahab-yaqin nahin

    chhup-chhup ke wo bhi meri taraf dekhta hai kyun

    insha ki tarah main to koi naznin nahin

    murghan-e-ham-safir ki umren daraaz hon

    meri bhi ek nawa hai nawa-e-nawin nahin

    ai ishq sab ko hai teri yurish ka intizar

    jo jo qalam-rawen tere zer-e-nagin nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now