aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sannaTa chha gaya hai shab-e-gham ki chap par

Rafique Khayal

sannaTa chha gaya hai shab-e-gham ki chap par

Rafique Khayal

MORE BYRafique Khayal

    sannāTā chhā gayā hai shab-e-ġham chaap par

    sūraj ko thā yaqīn bahut apne-āp par

    vo sā.iqa mizāj hai maiñ sard barf

    hairat-zada haiñ log tamām is milāp par

    maiñ huuñ fasurda shaam afsurdagī hai aur

    dhundlā aks-e-yār hai yādoñ bhaap par

    maiñ manziloñ justujū meñ thā ba-rañg-e-mauj

    ab raqs kar rahā huuñ mohabbat thaap par

    lāzim ye pesh-ḳhema-e-āfāt hai 'ḳhayāl'

    bejā jamā nahīñ haiñ parinde alaap par

    sannaTa chha gaya hai shab-e-gham ki chap par

    suraj ko tha yaqin bahut apne-ap par

    wo saiqa mizaj hai main sard barf sa

    hairat-zada hain log tamam is milap par

    main hun fasurda sham ki afsurdagi hai aur

    dhundla sa aks-e-yar hai yaadon ki bhap par

    main manzilon ki justuju mein tha ba-rang-e-mauj

    ab raqs kar raha hun mohabbat ki thap par

    lazim ye pesh-KHema-e-afat hai 'KHayal'

    beja jama nahin hain parinde alap par

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now