Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sar chashm sabr dil din tan mal jaan aaThon

Insha Allah Khan Insha

sar chashm sabr dil din tan mal jaan aaThon

Insha Allah Khan Insha

MORE BYInsha Allah Khan Insha

    sar chashm sabr dil diiñ tan maal jaan āThoñ

    sadqa ka.ī haiñ tum par lo mehrbān āThoñ

    saj-dhaj nigah akaḌ chhab husn-o-adā-o-shoḳhī

    nām-e-ḳhudā haiñ tujh meñ ai naujavān āThoñ

    fardañg-o-chañg-o-nai daf bīn-o-rubāb-o-surnī

    ham-sāz-o-ham-navā haiñ lete haiñ taan āThoñ

    sātoñ suroñ meñ mutrib gat bhī ye guth rahe haiñ

    haiñ sam pe aa Thaharte yakjā nadān āThoñ

    ruḳh ḳhāl-o-zulf-o-ḳhat lab dandāñ zaqan zanaḳhdāñ

    us ke haiñ apne dushman 'inshā' har aan āThoñ

    sar chashm sabr dil din tan mal jaan aaThon

    sadqa kai hain tum par lo mehrban aaThon

    saj-dhaj nigah akaD chhab husn-o-ada-o-shoKHi

    nam-e-KHuda hain tujh mein ai naujawan aaThon

    fardang-o-chang-o-nai daf bin-o-rubab-o-surni

    ham-saz-o-ham-nawa hain lete hain tan aaThon

    saton suron mein mutrib gat bhi ye guth rahe hain

    hain sam pe aa Thaharte yakja nadan aaThon

    ruKH KHal-o-zulf-o-KHat lab dandan zaqan zanaKHdan

    us ke hain apne dushman 'insha' har aan aaThon

    Source:

    Kulliyat-e-inshaallah khan insha (Pg. 97)

    • Author: Insha Allah Khan Insha
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1876

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now