Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sar-e-bazm-e-talab raqs-e-sharar hone se Darti hun

Rehana Qamar

sar-e-bazm-e-talab raqs-e-sharar hone se Darti hun

Rehana Qamar

MORE BYRehana Qamar

    sar-e-bazm-e-talab raqs-e-sharar hone se Dartī huuñ

    ki maiñ ḳhud par mohabbat nazar hone se Dartī huuñ

    bachānā chāhtī huuñ us ko sūraj tamāzat se

    magar maiñ us ke raste shajar hone se Dartī huuñ

    kabhī us ke ḳhayāloñ meñ nahīñ jaatī thī dariyā par

    aur ab ye vaqt aayā hai ki ghar hone se Dartī huuñ

    agar ye sach hai ḳhushbū aur mohabbat chhup nahīñ sakte

    to kyuuñ apnī mohabbat ḳhabar hone se Dartī huuñ

    maiñ apnī zaat meñ bhīge paroñ bojh huuñ shāyad

    kisī be-bāl-o-par ke bāl-o-par hone se Dartī huuñ

    mujhe dushman bhī dil toḌnā achchhā nahīñ lagtā

    kisī bad-duāoñ asar hone se Dartī huuñ

    bhalā tashbīh se rutba mirā kyuuñ kam kare koī

    'qamar' huuñ is liye rashk-e-qamar hone se Dartī huuñ

    sar-e-bazm-e-talab raqs-e-sharar hone se Darti hun

    ki main KHud par mohabbat ki nazar hone se Darti hun

    bachana chahti hun us ko suraj ki tamazat se

    magar main us ke raste ka shajar hone se Darti hun

    kabhi us ke KHayalon mein nahin jati thi dariya par

    aur ab ye waqt aaya hai ki ghar hone se Darti hun

    agar ye sach hai KHushbu aur mohabbat chhup nahin sakte

    to kyun apni mohabbat ki KHabar hone se Darti hun

    main apni zat mein bhige paron ka bojh hun shayad

    kisi be-baal-o-par ke baal-o-par hone se Darti hun

    mujhe dushman ka bhi dil toDna achchha nahin lagta

    kisi ki bad-duaon ka asar hone se Darti hun

    bhala tashbih se rutba mera kyun kam kare koi

    'qamar' hun is liye rashk-e-qamar hone se Darti hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now