sar-e-manzar na mile to pas-e-manzar dekhun
sar-e-manzar na mile to pas-e-manzar dekhūñ
koī sūrat ho magar maiñ use aksar dekhūñ
apne afkār ko mailā to nahīñ kar saktī
phuul barseñ ki baraste hue patthar dekhūñ
maiñ bhī ik mauj huuñ merā bhī muqaddar hai safar
kaise sāhil pe khaḌe rah ke samundar dekhūñ
koī guzrā huā lamha to palaTnā hī nahīñ
ye kahāñ taab ki ā.īna mukarrar dekhūñ
sunte haiñ giit banā kartī haiñ kirneñ aksar
chāñd ko aaj to āñgan meñ nikal kar dekhūñ
vaqt ke paañv meñ zanjīr-e-duā bhī Daalo
jab sar-e-shāḳh-e-chaman koī gul-e-tar dekhūñ
sach kī mere liye kyoñ aur na qīmat baḌh jaa.e
jab maiñ laTkī huī talvār bhī sar par dekhūñ
mere fan kā hai yahī mujh se taqāzā 'ra.anā'
jo mirī zaat meñ pinhāñ hai vo bāhar dekhūñ
sar-e-manzar na mile to pas-e-manzar dekhun
koi surat ho magar main use aksar dekhun
apne afkar ko maila to nahin kar sakti
phul barsen ki baraste hue patthar dekhun
main bhi ek mauj hun mera bhi muqaddar hai safar
kaise sahil pe khaDe rah ke samundar dekhun
koi guzra hua lamha to palaTna hi nahin
ye kahan tab ki aaina mukarrar dekhun
sunte hain git bana karti hain kirnen aksar
chand ko aaj to aangan mein nikal kar dekhun
waqt ke panw mein zanjir-e-dua bhi Dalo
jab sar-e-shaKH-e-chaman koi gul-e-tar dekhun
sach ki mere liye kyon aur na qimat baDh jae
jab main laTki hui talwar bhi sar par dekhun
mere fan ka hai yahi mujh se taqaza 'rana'
jo meri zat mein pinhan hai wo bahar dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.