sar hone do ye kar-e-jahan aish karenge
sar hone do ye kār-e-jahāñ aish kareñge
ham log bhī ai dil-zadagāñ aish kareñge
kuchh arz kareñge tab-o-tāb-e-ḳhas-o-ḳhāshāk
aa jā ki zarā barq-e-butāñ aish kareñge
ab dil meñ sharar koī talab kā na havas kā
is ḳhaak pe kyā ḳhush-badanāñ aish kareñge
kuchh duur to bahte chale jā.eñge bhañvar tak
kuchh der sar-e-āb-e-ravāñ aish kareñge
is aas pe sachchā.ī ke din kaaT rahe haiñ
aatī hai shab-e-vahm-o-gumāñ aish kareñge
sar hone do ye kar-e-jahan aish karenge
hum log bhi ai dil-zadagan aish karenge
kuchh arz karenge tab-o-tab-e-KHas-o-KHashak
aa ja ki zara barq-e-butan aish karenge
ab dil mein sharar koi talab ka na hawas ka
is KHak pe kya KHush-badanan aish karenge
kuchh dur to bahte chale jaenge bhanwar tak
kuchh der sar-e-ab-e-rawan aish karenge
is aas pe sachchai ke din kaT rahe hain
aati hai shab-e-wahm-o-guman aish karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.